Batata hai mujhe aaina kaisi berukhi se
Ke main mehroom hota ja raha hoon roshni se
—X—X—X—
Kise ilzaam doun mein rai’gan honay ka apnay
Keh saare faisley mein ne kiye khud hee khushi se
—X—X—X—
Her ek lamha rehti hai taza ak shikayat
Kabhi tujh se , kabhi khud se , kabhi is zindagi se
—X—X—X—
Mujhe ab tuk bohut khahish thi khud se guftugu ki
Mein chupta phir raha hoon aaj apnay aap hee se
—X—X—X—
Jo chahe wo sitam mujh per rawa rukhay ye duniya
Mujhe youn bhi tawaqa ab nahi kuch bhi kisi se..
link
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment